Wednesday, May 19, 2010

Jai Shiv Shankar, Swami Jai Shiv Shankar

Jai Shiv Shankar

Jai Shiv Shankar
Jai Shiv Shankar, Swami Jai Shiv Shankar
Kasht haro Swami humaar, Swami kash haro humaar
Sharan mein apni le ke Bhagwan, mauka do apni sewa ka
He mere Bholenath, yehi vinti karta hun swaminath
Kya maya hai kya nahi, main agyaani nahi jaanu
Mere Swami main to aapko sarvasv maanu
Apna sewak bana lo bhagwan, main na chahun ye sansar
Main aur meri ardhangni, sewa karen aapki aur maa parvati ki
Is Sansar se humein mukt kar, apne charanon mein jagah den
Yehi vinti karta hun swaminaath , yehi prarthna karta hun
Jai Shiv Shankar, Swami Jai Shiv Shankar
Sharan mein apni le ke Bhagwan, mauka do apni sewa ka
Jai Shiv Shankar, Swami Jai Shiv Shankar

No comments:

Post a Comment