Tuesday, August 28, 2018

Shiv hai Shakti, Shiv hai Bhakti, Shiv hai Muktidhaam...

Shiv hai Shakti, Shiv hai Bhakti, Shiv hai Muktidhaam.
Shiv hai Brahma, Shiv hai Vishnu, Shiv hai mera dhaam.

Aisi subah na aaye, aaye na aisi shaam,
Jis din jubaa pe meri, aaye na Shiv ka naam.

Man-Mandir mein vas hai tera, teri chhavi basai,
Pyasi aatma ban ke jogan, teri sharan mein aai.
Tere hi charno mein paya maine yeh vishraam.
Aisi subah na aaye, aaye na aisi shaam.

Teri khoj mein na jaane, kitne yug mere beete,
Ant mein kaam-krodh-mad haare, hey Bhole tum jeete.
Mukt kiya tune Prabhu mujhko, shat-shat hai pranaam.
Aisi subah na aaye, aaye na aisi shaam.

Sarvkala sampann tumhi ho aye mere parmeshwar.
Darshan deke dhanya karo ab aye Trinetra Maheshwar.
Bhav Saagar se tar jayunga leke tera Naam.
Aisi subah na aaye, aaye na aisi Shaam.

No comments:

Post a Comment