Sunday, August 19, 2018

Meri pyari si Gaura banegi dulhaliyan byaah ne aayenge Bhole Baba.

Meri pyari si Gaura banegi dulhaliyan, byaah ne aayenge Bhole Baba.
Brahma-Vishnu bajayenge baja.

Solah singhar meri Gaura karegi,
Teeka chhadega aur Haldi lagegi,
Gaura ke nathuni mein jhumegi nathuniya.
Sajke aayenge Bhole Baba.
Brahma-Vishnu bajayenge baja.

Gaura ke haaton mein Mehandi lagegi,
Maang bharegi aur Bindiya lagegi,
Gaura ke haaton mein bandhega Kangana.
Sajke aayenge Bhole Baba.
Brahma-Vishnu bajayenge baja.

Ghum-Ghumaron Gaura pehnegi Lehanga,
Heera-Panna ke Gaura pehnegi Gehna,
Gaura ke pairon mein bajegi Payaliyan aur
Odhegi Lal Chunariya.
Sajke aayenge Bhole Baba.
Brahma-Vishnu bajayenge baja.

Jab Gaura-Bhole sang legi Fhere,
Teno lokon mein chhayegi khushiyaan,
Bajenge Dhol-Nagade aur Phoolon ki hogi Varsha.
Brahma-Vishnu bajayenge baja.

Phoolon ki Doli mein baithegi Gaura,
Bhole ke sang chali jayegi, jaake Kailash pe bas jayegi.
Bhole ke sang Gaura sukh se rahegi.
Gaura ke mann mein base hain Mahadeva,
Jinko puje hai saara zamana,
Brahma-Vishnu bajayenge baja.
Meri pyari si Gaura banegi dulhaliyan,
Byaah ne aayenge Bhole Baba.

No comments:

Post a Comment