Thursday, August 16, 2018

Bhakt ek Shiv ka chala Shiv ko manane ke liye...

Bhakt ek Shiv ka chala Shiv ko manane ke liye.
Shiv ko rijhane ke liye, apna banane ke liye.
Bhakt ek Shiv ka chala Shiv ko manane ke liye.

Ek lota jal mein kuch boondein dudh ki daal li,
Aur le liye Bel Patra, Fhal-Phool bhi.
Chal diya mandir ke andar Shiv ko chadhane ke liye.
Bhakt ek Shiv ka chala Shiv ko manane ke liye.

Haath ko upper kiya ghanta bajane ke liye,
Dekhkar sone ka ghanta paap mann mein aa gaya,
Ho aaya taiyaar fir woh ghanta churane ke liye.
Bhakt ek Shiv ka chala Shiv ko manane ke liye.

Jab koi yukti na aai haath na pahucha wahan,
Chad gaya khud Shiv pe voh, karni kamane ke liye,
Dekhkar yeh drish Shankar, khush hue hai bhakt par,
Aa gaye swayam fir woh wahan, darshan dikhane ke liye.
Bhakt ek Shiv ka chala Shiv ko manane ke liye.

Bhakt to mujhpar chhadate phool-fhal aur pattiyaan,
Tune to khud ko chhadaya mujhko rijhane ke liye,
De diya sone ka ghanta, Prabhu ne fir us bhakt ko,
Bhakt charno mein gira Shiv-Charan paane ke liye.
Bhakt ek Shiv ka chala Shiv ko manane ke liye.

No comments:

Post a Comment