Friday, August 31, 2018

Beti nahi biyahungi, Beti nahi biyahungi...

Gangadhare, Bhasmi ramaye, 
Maina dekhan ko aai.
Dekhan ko aai, dekh-dekh ghabrai.
Beti nahi biyahungi, beti nahi biyahungi.
Biyaah rachaye, bhoot-pret barati bankar aaye aise Dulhe se dariyo.
Beti nahi biyahungi, Beti nahi biyahungi.

Bhoot lakhon, pret lakhon, lakhon banghedi aaye hai.
Devi-Devta bhi sang apne vahan-pashu-panchi-jaanwar laaye hai.
Naag laptaye, nar-mundon ki mala pehne Shiv Ji Dulha ban kar aaye hai.
Maina dekh-dekh ghabrai hai.
Beti nahi biyahungi, Beti nahi biyahungi.
Biyaah nahi hone dungi, chahe praan gawayungi.
Beti nahi biyahungi, Beti nahi biyahungi.

Roop badle, baraat badle.
Tab hi Beti biyahungi.
Warna pran gawayungi, Beti nahi biyahungi.

Ashutosh ka roop dhara, chale Shiv Ji biyaane.
Kailash mein lekar aaye Parvati, bane Bhole deewane.
Aise Dulhe se na dariyo...
Aise Dulhe se na dariyo...
Aise Dulhe se na dariyo...

No comments:

Post a Comment