Wednesday, July 25, 2018

BHAJAN : Om Namah Shivaya Bolo Om Namah Shivaya. Shiv-Shiv bhole ka mahamantra hai mukti ka upaye.

Om Namah Shivaya Bolo Om Namah Shivaya.
Shiv-Shiv bhole ka mahamantra hai mukti ka upaye.
Bolo Om Namah Shivaya.

Jab-Jab dole jeevan naiya, Shiv ki mahima gao,
Saare jag ke hai woh khiwaiya, Shiv ki sharan mein aao.
Sankat aaye, kasht rulaye, jab-jab jee rulaye,
Bolo Om Namah Shivaya.

Sabse pyare, sabse nyare, Baba bhole-bhale hai,
Bhaang-Dhatura ki masti mein, rehte mast nirale hai.
Bum-Bum Bhole kehte jao, jo bhi aaye-jaye,
Bolo Om Namah Shivaya.

Aadha Chanda maathe soye, gale mein sarpo ki mala,
Tez dhaari ke tez se paye, Suraj sa ujiyara.
Dum-Dum Damru bole Shiv ka, saato(n) aur dohraaye,
Bolo Om Namah Shivaya.

Vipadha aai Ram pe bhari, Shiv-Shakti ka jaap kiya,
Bajrangi ki shakti banke Shiv ne Ram ka saath diya.
Rameshwar ki pooja karte Ram yahi dohraaye,
Bolo Om Namah Shivaya, Bolo Om Namah Shivaya.
Shiv-Shiv bhole ka mahamantra hai mukti ka upaye.
Bolo Om Namah Shivaya.

No comments:

Post a Comment