Kalp karo punya atma prem sudha Shiv naam
Hit karak sanjivani Shiv chintan aviraam
Patit pawan jaise madhu Shiv rasna ke ghol
Bhakti ke hansa hi chuge moti ye anmol
Jaise tanik suhaga sone chamkaye
Shiv sumiran se atma adhbhut nikhari jaye
Jiase chandan vriksh ko dashte nahi hai naag
Shiv bhakto ke chole ko kabhi lage na daag
Om namah Shivay om namah Shivay
Daya nidhi bhuteshwar Shiv hai chatur sujan
Kan kan bheetar hai base neel kanth bhagwan
Chandra chood ke trinetra uma pati vishvashe
Sharnaghat ke ye sada kaate sakal klesh
Shiv dware prapanch ka chal nahi sakta khel
Aag aur pani ka jaise hota nahi hai mail
Bhaya bhanjan natraj hai damru wale naath
Shiv ka vandhan jo kare Shiv hai unke saath
Om namah Shivay om namah Shivay
Lakho ashvamedh ho sou ganga snan
Inse uttam hai kahi Shiv charno ka dhyan
Alakh niranjan naad se upje aatma gyan
Bhatke ko rasta mile mushkil ho aasan
Aamar guno ki khan hai chit shudhi Shiv jaap
Satsangatee me baith kar karlo pashchatap
Lingeshwar ke manan se sidh ho jate karya
Namah Shivaya ratata ja Shiv rakhenge laaj
Om namah Shivay om namah Shivay
Shiv charno ko chhune se tan man pawan hoye
Shiv ke roop anup ki samta kare na koi
Maha bali maha dev hai maha prabhu maha kaya
Asurankhandan bhakt ki peeda hare tatkal
Sharva vyapi Shiv bhola dharm roop sukh karya
Amar ananta bhagwanta jag ke palan haar
Shiv karta sansar ke Shiv shristi ke mool
Rom rom Shiv ramne do Shiv na jayio bhool
Om namah Shivay om namah Shivay
Om namah Shivay om namah Shivay
Om namah Shivay om namah Shivay
No comments:
Post a Comment