Shiva Shankar Ke Darbar Saji Sundar
Bahar
Darshan Karne Ko Aaye Hain Tumhare
Bhaktjan
Gal Rundmaal Sohe, Mastak Sohe Chanda
Haath Mein Trishul Damroo, Naach Rahe
Nanda
Jata Jut Ki Majhdhaar, Bahe Gangaji Ki
Dhaar
Darshan Karne Ko Aaye Hain Tumhare
Bhaktjan
Saili Shingi Bhasmi Ramaye, Mudra Sohe
Kone Mein
Bijiya Aak Dhatura Peeve, Mast Rahe
Dhyan Mein
Sang Mein Parvati Hai Naar, Shankar
Bailan Ke Avsaar
Darshan Karne Ko Aaye Hain Tumhare
Bhaktjan
Neelkanth Mahadev, Devon Ka Uddhar Kiya
Pee Ke Halahal Zehar, Kanth Beech Dhaar
Liya
Dev Kar Rahe Jai Jaikaar, Shankar
Nirakar Aadhar
Darshan Karne Ko Aaye Hain Tumhare
Bhaktjan
Shivratri Manaye Dyave, Shankar Sarkar
Ki
Bhakt Vipra Yun Katha Gaave, Sharno Sajjan
Haar Ki
Bhootnath Tere Dwar Bhakt Kar Rahe Jai
Jaikaar
Darshan Karne Ko Aaye Hain Tumhare
Bhaktjan
No comments:
Post a Comment