Saturday, September 8, 2018

Aa gai hai Mahashivratri padharo Shankar Ji, padharo Shankar Ji...

Aa gai hai Mahashivratri, padharo Shankar Ji, Ho padharo Shankar Ji...
Aarti utaru, paar utaro Shankar Ji, Ho Shankar Ji...

Tum tan-mann mein ho,
Mann-Mann mein naam tera.
Hey Neelkanth, Hai Kanth-Kanth mein naam tera.
Ho vedon ke dev jagat ke udharak Shankar Ji.
Aa gai hai Mahashivratri, padharo Shankar Ji, padharo Shankar Ji...

Tum Raj Mahal mein, tum hi bikhari ke ghar mein,
Dharti pe tere charan, mukut hai ambar mein,
Sansar tumhari pujaran Shankar Ji...
Aa gai hai Mahashivratri, padharo Shankar Ji, padharo Shankar Ji...

Tum dunia ko basane wale,
Khud mashaan wale ho,
Danavo ko bhi vardaan dene wale Bhole-Bhale ho.
Bhasm ramao, bhaang chadao, do din to sang hamare guzaron Shankar Ji...
Aa gai hai Mahashivratri, padharo Shankar Ji, padharo Shankar Ji.

Kya bhenth chadau, nirdhan ka ghar suna hai.
Lelo aansoo, Yeh Ganga Jal sa pawan hai...
Ho aakar baso in nainan mein ghar padharo Shankar Ji.
Aa gai hai Mahashivratri, padharo Shankar Ji, padharo Shankar Ji.

Tuesday, September 4, 2018

Mera Shankar Kho Gaya Hai Koi Batlaye Re.

Dhund rahi hai ban mein Girija tapasvin roop banaye re.
Mera Shankar kho gaya hai koi batlaye re.

O Bhole Bhandari Jogi kahe ko chhode Jogin ka saath re.
Lata-Prabha tum hi bata do mann mera ghabraye re.
Mera Shankar kho gaya hai koi batlaye re.

Jatao mein Ganga bahe, mere Bhole ki yeh hai nishani re.
Suna pada hai Kailash, jaane kahan dhuni ramaye re.
Mera Shankar kho gaya hai koi batlaye re.

O pyare Bhole, Girija manaye maan jaieye re.
Daras ki pyasi ankhiyaan taras rahi hai re.
Mera Shankar kho gaya hai koi batlaye re.

Gaura ban-ban bhatke tapasvin roop banaye re.
Mera Shankar kho gaya hai koi batlaye re.

Monday, September 3, 2018

Itna to karna swami, Jab pran tann se nikle. Shankar ka naam kehkar, Tab pran tann se nikle.

Itna to karna swami,
Jab pran tann se nikle.
Shankar ka naam kehkar,
Tab pran tann se nikle. (Tek).

Shri Kailash ka shikhar ho,
Ya Rameshwaram nikat ho.
Aur Bholanath nikat ho,
Jab pran tann se nikle.

Sri Somnath ka bhawan ho,
Mukh mein Gangajal ho.
Sri Shiv charan ka jal ho,
Fhir pran tann se nikle.

Sanmukh triloki khada ho,
Damru ka swar bhara ho.
Tirchha charan dhara ho,
Jab pran tann se nikle.

Sir sarp ka mukut ho,
Mukhde pe kaali lat ho.
Yeh dhyan mere ghat ho,
Jab pran tann se nikle.

Us waqt jaldi aana,
Na kaul bhool jaana.
Nupur ki dhavni sunana,
Jab pran tann se nikle.

Mere pran nikle sukh se,
Tera naam nikle mukh se.
Bach jaun ghor dukh se,
Jab pran tann se nikle.

Jab pran kanth aave,
Koi rog na satave.
Tu daras mujhe dikhave,
Jab pran tann se nikle.

Yeh Nek sa araj hai,
Mano to kya haraz hai.
Kuch tera bhi farz hai,
Jab pran tann se nikle.

Sunday, September 2, 2018

Dulha bankar chale Bhole suno. Bhesh Aisa Banaya Gajab Ho Gaya.

Dulha bankar chale Bhole suno.
Bhes aisa banaya gajab ho gaya.
Bhoot-Preton ko saathi banaye suno.
Saaj aisa sajaya gajab ho gaya. (Tek).

Lagi Kailash mein bheed teen lok aaye hai.
Chale hai sab Devi-Devta saaj sajaye hai.
Hans par Brahma dekho, Garun par Vishnu viraje hai.
Eravat saath Indra Dev bhi aaye hai.
Varun, Agni, Pawan, Surya saje sab barati hai.
Jogi Siddhmuni chale bheed jo suhati hai.
Pahuch kar Himachal Pradesh, Himalayan dekhkar yeh kehne lage.
Bheed baithana yahan par gajab ho gaya.

Bula Narad ko Maina khari-khoti sunati hai.
Saaj Dulhe ka dekha nahi jaata hai.
Pehne nar-mund maala, bhasmi ko lagata hai.
Gale mein naag liptaye, jataa mein Ganga dhaare hai.
Trishool thame, Nandi pe baithe hai.
Yeh to marghat ka waasi hai Damad banaya isko gajab ho gaya.

Saaj-Baaj swarg se Brahma-Vishnu laaye hai.
Biyaah ke kharch hetu Kuber swayam chale aaye hai.
Ved Brahma pade, biyaah ka samay aaya hai.
Dwaarchaar hone laga Bhole, Ashutosh bhesh banaya hai.
Maina Aarti utare mann mein khushi bhari hai.
Dekh lagan bhanwar padi, Parvati Jagdamba avtaari hai.
Sabhi bhakton ne Jai-Jai pukari hai.
Suno haal kehna Shiva-Parvati biyaah ka gajab ho gaya.

Dulha bankar chale Bhole suno.
Bhesh Aisa Banaya Gajab Ho Gaya.