Tuesday, July 31, 2018

Mere naag gale mein latke se... Tu naag dekh ke darr jagi re Gaura....

Mere naag gale mein latke se...
latke se...
latke se...
Tu naag dekh ke darr jagi re Gaura.

Main bhaang ghot-ghot ke peeva karu,
Tu bhaang ghot ke thak jaagi re Gaura.
Mere naag gale mein latke se....

Tu Raja ki chhori se...
Tu meri deewani hori se...
Malmal si teri jawani se
Main Baba dhundhe aadha su...
Tu bhagya dekh ke darr jagi re Gaura.
Mere naag gale mein latke se...

Tu byaah karwana mere se...
Main samjhau su tere se...
Tu chandan male chehare pe re Gaura...
Main raakh laga ke raha karu...
Tu raakh dekh ke darr jagi re Gaura...
Mere naag gale mein latke se...

Bhaang meri tu ghotegi...
Na manne peeve te rokegi...
Na baat-baat pe tokegi re Gaura...
Meri baat maan li Gaura ne re Gaura...
Mere naag gale mein latke se...
latke se...
latke se...
Tu naag dekh ke darr jagi re Gaura...

Monday, July 30, 2018

Are hatt ja re Tau paache ne, Jal Bhole pe charawan de.

Are hatt ja...
Are hatt ja...
Are hatt ja re Tau paache ne
Jal Bhole pe charawan de.

Are Haridwar mein manne jaana
Har ki Paudi gota laana
Shiv mandir mein jake ne
Bhole ke darshan paavan de.
Are hatt ja re Tau paache ne
Jal Bhole pe charawan de.

Jal manne Shivaling pe charana.
Jot jalake Bhola manana.
Ja mat roke aage te.
Dar pe sheesh jhukawan de.
Are hatt ja re Tau paache ne
Jal Bhole pe charawan de.

Neelkanth pe jo Shiva mandir.
Bheedh laangadi bahar-andar.
Are hatt ja re Tau paache ne
Jal Bhole pe charawan de.

Mann ka kamal khila de Bhola.
Bigadi baat bana de Bhola.
Uccha Jaikara lagawan de.
Gunn Bhole ke gaawan de.
Are hatt ja re Tau paache ne
Jal Bhole pe charawan de.

Jai bolo Shankar ki...

Jai bolo Shankar ki.
Kar trishool dhamroo dhar ki.
Jai bolo Shankar ki.

Maathe chand chhata dhaari.
Sobha sur pur se bhi nyari.
Jai Girija Pati Natwar ki.
Jai bolo Shankar ki.
Kar trishool dhamroo dhar ki.

Gauri pati kundal wale.
Ang vibhuti mundmaale.
Sheesh par sobha vishdhar ki.
Jai bolo Shankar ki.
Kar trishool dhamroo dhar ki.

Antaryami ghat-ghat ke.
Jata mein Sri Ganga chhatke.
Aaye sadayein Har-Har ki
Jai bolo Shankar ki.
Kar trishool dhamroo dhar ki.

Dil mein daras ki asha mere.
Bhakt hai sab sharan tere.
Ho daya drishti prabhuvar ki.
Jai bolo Shankar ki.
Kar trishool dhamroo dhar ki.

Shiv Shankar bhole-bhale bhakton ke rakhwale... Tumko lakhon pranaam, tumko mera pranaam...

Shiv Shankar bhole-bhale bhakton ke rakhwale,
Tumko lakhon pranaam, tumko mera pranaam.
Tumne yeh sansar banaya, sabhi tumhari maya-chhaya,
Sarpo(n) ki mala wale, kailash parvat wale. 
Tumko lakhon pranaam, tumko mera pranaam.

Tum jal-thal mein, tum ambar mein, tum ho nagar-nagar, ghat-ghat mein,
Tum hi lehar-lehar, svar-svar mein, kaha nahi tum jag bhar mein,
Damroo ko bajane wale, daanavo ko mitane wale.
Tumko lakhon pranaam, tumko mera pranaam.

Har Har Mahadev ka naara, Nar-Naari, ghar-ghar ka pyara,
Deep tumhara, tel tumhara, duniya mein sab khel tumhara,
Hey khel khilaane wale, tribhuvan ke rakhwale.
Tumko lakhon pranaam, tumko mera pranaam.

Shiv Shankar bhole-bhale bhakton ke rakhwale
Tumko lakhon pranaam, tumko mera pranaam.

Sunday, July 29, 2018

Aye Shamboo tumhe apna banana hi padega

Aye Shamboo tumhe apna banana hi padega.
Is paap jaal se chhudana hi padega.

Bhakton ke bas mein tum sada rehte ho,
Meri bhi vinti sunne ko tumko aana hi padega.

Belpatra, Dhatura, Ganga Jal, Dudh-Dahi lekar aaye hai hum Prabhu,
Is tuchh bhenth ko tumko sweekarna hi padega.

Hum bhool tumhe jaate hai maya mein fhas ke Nath,
Par yaad tumko sada rakhna hi padega.

Paapo(n) ki teevr lapto(n) mein jal raha hun main,
Hey Nath tumhe mujhko bachana hi padega.

Aye Shamboo tumhe apna banana hi padega.

Saturday, July 28, 2018

Shiv tu hi, Shiv tu hi, Shiv tu hi, Shiv tu.

Shiv tu hi, Shiv tu hi, Shiv tu hi, Shiv tu,
Mann sada Shiv se ab jo lagayega tu.
Bhav-Sindhu se fir tar jayega tu.
Har waqt, har samay jo yeh gayega tu.
Shiv tu hi, Shiv tu hi, Shiv tu hi, Shiv tu.

Kuch sunata hun Kailash ka maazra.
Woh sunata hu jo kuch maine suna.
Mere kaano(n) mein aai yeh pyari sada.
Chhod gaflat arre mann idhar tu aa ja.
Kuch Sati ke Pati se to neh laga.
Har samay apni jivha se yeh hi suna.
Shiv tu hi, Shiv tu hi, Shiv tu hi, Shiv tu.

Maarkande ko jab Yam daraane laga.
Jeev ko qaid karke woh jaane laga.
Shabd mukh se fakat usne yeh hi kaha.
Shiv tu hi, Shiv tu hi, Shiv tu hi, Shiv tu.

Friday, July 27, 2018

Jai bolo Shiv Shankar ki. Kar Trishul Damroo dhar ki.

Jai bolo Shiv Shankar ki.
Kar Trishul Damroo dhar ki.
Jai bolo Shiv Shankar ki.

Maathe chandra chhata dhari.
Shobha sur pur se bhi nyari.
Jai Girijapati Natwar ki.
Kar Trishul Damroo dhar ki.

Gauri Pati kundal waale.
Ang vibhuti mundmaale.
Sheesh par shobha vishdhar ki.
Kar Trishul Damroo dhar ki.

Antaryami ghat-ghat ke.
Jata mein Shri Ganga chhatke.
Aaye(n) sadayein Har-Har ki.
Kar Trishul Damroo dhar ki.

Dil mein darsh ki asha mere.
Bhakt hai yeh sharan tere.
Ho daya drishti Shri Prabhuvar ki.
Kar Trishul Damroo dhar ki.

Jai bolo Shiv Shankar ki.
Kar Trishul Damroo dhar ki.

Thursday, July 26, 2018

Shiv Bhola Bhandari saadho Shiv Bhola Bhandari re.

Shiv Bhola Bhandari saadho Shiv Bhola Bhandari re. (Tek).

Bhasmasur ne kari tapasya bar deena Tripurari re,
Jiske sar par haath lagave bhasm hoye tann saari re.

Shiv ke sar par haath dharan ki mann mein dusht vichari re,
Bhaage fhire chahu(n) disha Shankar, laga Daanav darr bhari re.

Apsara roop dhar Hari bole baat Asur se pyari re,
Jo tu mujhko naach dikhave hou(n) naar tumhari re.

Naach karat apne sir par dhar bhasm bhayomati bhaari re,
Brahmanand det joi maange Shiv bhaktan hitkaari re.

Shiva Bhola Bhandari saadho Shiv Bhola Bhandari re.

BHAJAN : Prem se tu gaa le naam ShivaJi ka... Woh hi Daata hai Vidhata saari nagri ka...

Prem se tu gaa le naam ShivaJi ka...
Woh hi Daata hai Vidhata saari nagri ka.
Prem se tu gaa le naam ShivaJi ka...

Hai kripala, woh Dayalu Bhola Bhandari,
Woh triloki ka swami praan aadhari.
Swason ki mala pe dhar naam tu ShivaJi ka..
Prem se tu gaa le naam ShivaJi ka...

Sankaton ko harne wala Shiva hai dukhnaasi,
Saari srishti ka rachaiya Brahm avinashi.
Dhyan mein laga le naam tu ShivaJi ka...
Prem se tu gaa le naam ShivaJi ka...

Chandra sohe bhaal jiske naag gale maala,
Sankh se funkaar fhuke kar de matwala.
Sharan mein jake le naam nisdin ShivaJi ka...
Prem se tu gaa le naam ShivaJi ka...
Woh hi Daata hai Vidhata saari nagri ka...
Prem se tu gaa le naam ShivaJi ka...

Wednesday, July 25, 2018

BHAJAN : Om Namah Shivaya Bolo Om Namah Shivaya. Shiv-Shiv bhole ka mahamantra hai mukti ka upaye.

Om Namah Shivaya Bolo Om Namah Shivaya.
Shiv-Shiv bhole ka mahamantra hai mukti ka upaye.
Bolo Om Namah Shivaya.

Jab-Jab dole jeevan naiya, Shiv ki mahima gao,
Saare jag ke hai woh khiwaiya, Shiv ki sharan mein aao.
Sankat aaye, kasht rulaye, jab-jab jee rulaye,
Bolo Om Namah Shivaya.

Sabse pyare, sabse nyare, Baba bhole-bhale hai,
Bhaang-Dhatura ki masti mein, rehte mast nirale hai.
Bum-Bum Bhole kehte jao, jo bhi aaye-jaye,
Bolo Om Namah Shivaya.

Aadha Chanda maathe soye, gale mein sarpo ki mala,
Tez dhaari ke tez se paye, Suraj sa ujiyara.
Dum-Dum Damru bole Shiv ka, saato(n) aur dohraaye,
Bolo Om Namah Shivaya.

Vipadha aai Ram pe bhari, Shiv-Shakti ka jaap kiya,
Bajrangi ki shakti banke Shiv ne Ram ka saath diya.
Rameshwar ki pooja karte Ram yahi dohraaye,
Bolo Om Namah Shivaya, Bolo Om Namah Shivaya.
Shiv-Shiv bhole ka mahamantra hai mukti ka upaye.
Bolo Om Namah Shivaya.

BHAJAN : Dam Dam Damru wala, Bada matwala hai, Bada matwala hai.

Dam Dam Damru wala
Bada matwala hai, Bada matwala hai.

Baaye ang mein Gaura biraje,
Godi mein Ganpati Lala,
Bada matwala hai, Bada matwala hai.

Sheshnaag ka pada janeyu,
Gale naag aati kala,
Bada matwala hai, Bada matwala hai.

Rehne ko chahiye mandir Shivale,
Peene ko bhang ka pyala,
Bada matwala hai, Bada matwala hai.

Malne ko chahiye ang Bhabhuti,
Baithane ko Mrigchhala,
Bada matwala hai, Bada matwala hai.

Dam Dam Damru wala
Bada matwala hai, Bada matwala hai.

Tuesday, July 24, 2018

Teri ghadi amolak jaye, mukh se jap le Namah Shivay

Teri ghadi amolak jaye, mukh se jap le Namah Shivay.
Tera pal-pal beeta jaye, mukh se jap le Namah Shivay.

Shiv-Shiv naam mukh se bolo, mann-mandir ka parda kholo,
Teri aayu beeti jaye, mukh se jap le Namah Shivay.

Manav jeevan safal bana le, Om naam tu mukh se laga le,
Tera avsar beeta jaye, mukh se jap le Namah Shivay.

Shiv puja mein mast bane ja, bhakti sudharas paan kare ja,
Darshan divya prabhu ka paaye, mukh se jap le Namah Shivay.

Teri ghadi amolak jaye, mukh se jap le Namah Shivay.

Monday, July 23, 2018

BHAJAN : Mujhe to Shiva-Shankar mil gaye...

Mujhe to Shiva-Shankar mil gaye,
Kiya naa jap-tap, teertha na pooja,
Apne hi ghar mil gaye...

Mujhe to Shiva-Shankar mil gaye.

Main to jaat ka papi bhikhari,
Apne karmo se bana bhikhari,
Maine Prabhu se mangi thi roti,
Mujhe to Parmeshwar mil gaye...

Mujhe to Shiva-Shankar mil gaye.

Paate hai rishi-muni jinhe karke tapasya,
Baaton mein suljhi meri samasya,
Murakh samaj ke mujhe dayalu
Ban pathar mil gaye.

Mujhe to Shiva-Shankar mil gaye,
Kiya naa jap-tap, teertha na pooja,
Apne hi ghar mil gaye...

Mujhe to Shiva-Shankar mil gaye...