Wednesday, June 13, 2018

Dekho re ek Bala Jogi, Dwaar hamare aaya hai re. Bagambar ka odh dushala, sheshnaag laptaya hai re

Dekho re ek Bala Jogi, Dwaar hamare aaya hai re,
Bagambar ka odh dushala, sheshnaag laptaya hai re.

Maathe vaake tilak chandrama, motiyan thaal bharaya hai re,
Ja Yogi apne ashram ko, Mera Kanha daraya hai re.

Na chahiye tere heere-moti, na chahiye teri maaya hai re,
Tere Lal ke daras dikha, Sadhu Kashi se aaya hai re.

Le Balak nikali nandrani, Yogi darshan paaya hai re,
Saat ber parikrama karke, singhi naandh bajaya hai re.

Surdas baikunt dhaam mein, dhanya Yasomati Maa hai re,
Teen lok ke karta-harta, teri goad aaya hai re.

Dekho re ek Bala Jogi, Dwaar hamare aaya hai re,
Bagambar ka odh dushala, sheshnaag laptaya hai re.

Monday, June 11, 2018

Sabse Pyare, Sabse Nyare, Hamare Bhole Baba hai...

Sabse Pyare, Sabse Nyare, Hamare Bhole Baba hai.
Bhakton ke jeevan ke sahare, hamare Bhole Baba hai.

Shiv Shankar hai jag ka swami, ghat-ghat vyapak antaryami,
Devi-Devta dhyan mein kehte, Mahadev Namami, Mahadev Namami.
Suraj-Chand mein ujiyara, hamare Bhole Baba hai.
Bhakton ke jeevan ke sahare, hamare Bhole Baba hai.

Bhasm ramai tann pe, bagambar odhe,
Haaton mein dono jahan aur charno mein hai sristri samai.
Pal bhar mein khazana bharne wala, hamare Bhole Baba hai.
Bhakton ke jeevan ke sahare, hamare Bhole Baba hai.

Jaat-Paat na puche koi, Shiv bhajhe Shiv ka hoe,
Shiv mile to qismat jaage, Shiv roothe to mile na koi.
Sabhi Devi-Devta ka rakhwale, hamare Bhole Baba hai.
Bhakton ke jeevan ke sahare, hamare Bhole Baba hai.

Shiv hai param upkaari, Shiv sabke hitkaari,
Bhakton ke dukh nij bhugtaate, Shankar hai Bhole Bhandari.
Jeevan naiya khevanhaara, hamare Bhole Baba hai.
Bhakton ke jeevan ke sahare, hamare Bhole Baba hai. 

Friday, June 8, 2018

Shiv Shamboo daya karna itni, Nit naam tumhara yaad karu.

Shiv Shamboo daya karna itni,
Nit naam tumhara yaad karu.

Bithla le tumko man-mandir mein,
Shivalinga Roop mein tumhe nihara karu.
Bhar ke Netra Paatron mein prem ka jal,
Pad-Pankaj Nath pakhara karu.
Mridu Manjul bhaav ki mala bana,
Teri pooja se saaj sawara karu.
Shiva Shamboo daya karna itni,
Nit naam tumhara yaad karu.

Ban prem pujari main tera prabhu,
Teri aarti bhav utara karu,
Tere naam ki mala Aye Bhole,
Mann-hi-Mann mein fhiraya karu.
Shiv Shamboo daya karna itni,
Nit naam tumhara yaad karu.

Tum aao na aao yahan Mahadev
Din raat main tumko bulaya karu,
Jis path pe paav dhare tumne,
Palak us path pe bichaya karu.
Shiv Shamboo daya karna itni,
Nit naam tumhara yaad karu.

Tere bhakton ki sewa karu,
Kuch aur na Shiv Shamboo mere pass,
Nit tujhe Bail Patra-Jal chhadya karu.
Shiv Shamboo daya karna itni,
Nit naam tumhara yaad karu.

Thursday, June 7, 2018

Shiv Shamboo Tera Dwara Nahi Chhodana. Chahe Kitna Thukra De.

Shiv Shamboo Tera Dwara Nahi Chhodana.
Chahe Kitna Thukra De.
Shiv Shamboo Teri Jai Ho.
Shiv Shamboo Deen Dayala Teri Jai Ho.
Shiv Shamboo Nirala Teri Jai Ho.
Shiv Shamboo Tera Dwara Nahi Chhodana.
Chahe Kitna Thukra De.

Teri Surat Lagti Hai Pyari,
Tere Naam Ki Chhadi Khumari,
Damroo Bajane Wale.
Shiv Shamboo Tera Dwara Nahi Chhodana.
Chahe Kitna Thukra De.

Rom-Rom Shiv Naam Likha Hai,
Jeevan Tere Naam Kiya Hai,
Tu Chahe Jab Azma Le.
Shiv Shamboo Tera Dwara Nahi Chhodana.
Chahe Kitna Thukra De.

Dhan-Daulat Ki Chah Nahi Hai,
Duniya Ki Parwah Nahi Hai,
Gar Tu Gale Laga Le.
Shiv Shamboo Tera Dwara Nahi Chhodana.
Chahe Kitna Thukra De.

Sabki Muradein Karte Ho Poori,
Meri Baari Kya Hai Majboori,
Mujhpar Bhi Rehmat Barsa De.
Shiv Shamboo Tera Dwara Nahi Chhodana.
Chahe Kitna Thukra De.

Tera Hi Dar Mathura, Haridwar,
Mil Jata Hai Brahm Avinashi,
Duniya Ko Rachane Wale.
Shiv Shamboo Tera Dwara Nahi Chhodana.
Chahe Kitna Thukra De.