Saturday, September 8, 2018

Aa gai hai Mahashivratri padharo Shankar Ji, padharo Shankar Ji...

Aa gai hai Mahashivratri, padharo Shankar Ji, Ho padharo Shankar Ji...
Aarti utaru, paar utaro Shankar Ji, Ho Shankar Ji...

Tum tan-mann mein ho,
Mann-Mann mein naam tera.
Hey Neelkanth, Hai Kanth-Kanth mein naam tera.
Ho vedon ke dev jagat ke udharak Shankar Ji.
Aa gai hai Mahashivratri, padharo Shankar Ji, padharo Shankar Ji...

Tum Raj Mahal mein, tum hi bikhari ke ghar mein,
Dharti pe tere charan, mukut hai ambar mein,
Sansar tumhari pujaran Shankar Ji...
Aa gai hai Mahashivratri, padharo Shankar Ji, padharo Shankar Ji...

Tum dunia ko basane wale,
Khud mashaan wale ho,
Danavo ko bhi vardaan dene wale Bhole-Bhale ho.
Bhasm ramao, bhaang chadao, do din to sang hamare guzaron Shankar Ji...
Aa gai hai Mahashivratri, padharo Shankar Ji, padharo Shankar Ji.

Kya bhenth chadau, nirdhan ka ghar suna hai.
Lelo aansoo, Yeh Ganga Jal sa pawan hai...
Ho aakar baso in nainan mein ghar padharo Shankar Ji.
Aa gai hai Mahashivratri, padharo Shankar Ji, padharo Shankar Ji.

Tuesday, September 4, 2018

Mera Shankar Kho Gaya Hai Koi Batlaye Re.

Dhund rahi hai ban mein Girija tapasvin roop banaye re.
Mera Shankar kho gaya hai koi batlaye re.

O Bhole Bhandari Jogi kahe ko chhode Jogin ka saath re.
Lata-Prabha tum hi bata do mann mera ghabraye re.
Mera Shankar kho gaya hai koi batlaye re.

Jatao mein Ganga bahe, mere Bhole ki yeh hai nishani re.
Suna pada hai Kailash, jaane kahan dhuni ramaye re.
Mera Shankar kho gaya hai koi batlaye re.

O pyare Bhole, Girija manaye maan jaieye re.
Daras ki pyasi ankhiyaan taras rahi hai re.
Mera Shankar kho gaya hai koi batlaye re.

Gaura ban-ban bhatke tapasvin roop banaye re.
Mera Shankar kho gaya hai koi batlaye re.

Monday, September 3, 2018

Itna to karna swami, Jab pran tann se nikle. Shankar ka naam kehkar, Tab pran tann se nikle.

Itna to karna swami,
Jab pran tann se nikle.
Shankar ka naam kehkar,
Tab pran tann se nikle. (Tek).

Shri Kailash ka shikhar ho,
Ya Rameshwaram nikat ho.
Aur Bholanath nikat ho,
Jab pran tann se nikle.

Sri Somnath ka bhawan ho,
Mukh mein Gangajal ho.
Sri Shiv charan ka jal ho,
Fhir pran tann se nikle.

Sanmukh triloki khada ho,
Damru ka swar bhara ho.
Tirchha charan dhara ho,
Jab pran tann se nikle.

Sir sarp ka mukut ho,
Mukhde pe kaali lat ho.
Yeh dhyan mere ghat ho,
Jab pran tann se nikle.

Us waqt jaldi aana,
Na kaul bhool jaana.
Nupur ki dhavni sunana,
Jab pran tann se nikle.

Mere pran nikle sukh se,
Tera naam nikle mukh se.
Bach jaun ghor dukh se,
Jab pran tann se nikle.

Jab pran kanth aave,
Koi rog na satave.
Tu daras mujhe dikhave,
Jab pran tann se nikle.

Yeh Nek sa araj hai,
Mano to kya haraz hai.
Kuch tera bhi farz hai,
Jab pran tann se nikle.

Sunday, September 2, 2018

Dulha bankar chale Bhole suno. Bhesh Aisa Banaya Gajab Ho Gaya.

Dulha bankar chale Bhole suno.
Bhes aisa banaya gajab ho gaya.
Bhoot-Preton ko saathi banaye suno.
Saaj aisa sajaya gajab ho gaya. (Tek).

Lagi Kailash mein bheed teen lok aaye hai.
Chale hai sab Devi-Devta saaj sajaye hai.
Hans par Brahma dekho, Garun par Vishnu viraje hai.
Eravat saath Indra Dev bhi aaye hai.
Varun, Agni, Pawan, Surya saje sab barati hai.
Jogi Siddhmuni chale bheed jo suhati hai.
Pahuch kar Himachal Pradesh, Himalayan dekhkar yeh kehne lage.
Bheed baithana yahan par gajab ho gaya.

Bula Narad ko Maina khari-khoti sunati hai.
Saaj Dulhe ka dekha nahi jaata hai.
Pehne nar-mund maala, bhasmi ko lagata hai.
Gale mein naag liptaye, jataa mein Ganga dhaare hai.
Trishool thame, Nandi pe baithe hai.
Yeh to marghat ka waasi hai Damad banaya isko gajab ho gaya.

Saaj-Baaj swarg se Brahma-Vishnu laaye hai.
Biyaah ke kharch hetu Kuber swayam chale aaye hai.
Ved Brahma pade, biyaah ka samay aaya hai.
Dwaarchaar hone laga Bhole, Ashutosh bhesh banaya hai.
Maina Aarti utare mann mein khushi bhari hai.
Dekh lagan bhanwar padi, Parvati Jagdamba avtaari hai.
Sabhi bhakton ne Jai-Jai pukari hai.
Suno haal kehna Shiva-Parvati biyaah ka gajab ho gaya.

Dulha bankar chale Bhole suno.
Bhesh Aisa Banaya Gajab Ho Gaya.

Friday, August 31, 2018

Beti nahi biyahungi, Beti nahi biyahungi...

Gangadhare, Bhasmi ramaye, 
Maina dekhan ko aai.
Dekhan ko aai, dekh-dekh ghabrai.
Beti nahi biyahungi, beti nahi biyahungi.
Biyaah rachaye, bhoot-pret barati bankar aaye aise Dulhe se dariyo.
Beti nahi biyahungi, Beti nahi biyahungi.

Bhoot lakhon, pret lakhon, lakhon banghedi aaye hai.
Devi-Devta bhi sang apne vahan-pashu-panchi-jaanwar laaye hai.
Naag laptaye, nar-mundon ki mala pehne Shiv Ji Dulha ban kar aaye hai.
Maina dekh-dekh ghabrai hai.
Beti nahi biyahungi, Beti nahi biyahungi.
Biyaah nahi hone dungi, chahe praan gawayungi.
Beti nahi biyahungi, Beti nahi biyahungi.

Roop badle, baraat badle.
Tab hi Beti biyahungi.
Warna pran gawayungi, Beti nahi biyahungi.

Ashutosh ka roop dhara, chale Shiv Ji biyaane.
Kailash mein lekar aaye Parvati, bane Bhole deewane.
Aise Dulhe se na dariyo...
Aise Dulhe se na dariyo...
Aise Dulhe se na dariyo...

Thursday, August 30, 2018

Sehra Bandha, Kangana Bandha, Dulha Bane Mahesh. Parvati Ko Biyaah Ne Aaye Himachal Pradesh.

Sehra Bandha, Kangana Bandha,
Dulha Bane Mahesh.
Parvati Ko Biyaah Ne Aaye Himachal Pradesh.

Aai Shiv Ji ki baratiya Himachal Nagariya
Aai Shiv Ji ki baratiya Himachal Nagariya
Himachalwasi dekhan aaye kaisi aai baratiya
Kaun-Kaun se Raja-Rani aaye, kaisi hai jamatiya.
Kaisi laage Dulha bane Shiv Ji ki Suratiya...
Aai Shiv Ji ki baratiya Himachal Nagariya.

Chhat-Chhat chhad sab dekhan aaye Kaun rang hai dulha.
Koi bechari khidki se jhaake, dekha na fir bhi paaye dulha.
Koi barati kad mein Lamba, koi Mota, koi Chhota.
Kisi ke do mooh, chhar bhujaye, pet hai jaise lota.
Koi thame khopadi haath mein, 
koi saade naag-bichu, 
koi bikhrake baal naach raha hai, 
koi bhar-bhar bhaang peeta.
Dekh-dekh gajab hota.
Darr kar bhaage sab Himachalwasi.
Aai Shiv Ji ki baratiya Himachal Nagariya.

Vishnu Ji, Bhole se bole sunlo hamari baat.
Bhesh-Rang-Roop sab badlo, sang badlo baratiya.
Darr kar bhaag rahe hai sab Himachal Nagariya.
Aai Shiv Ji ki baratiya Himachal Nagariya.

Biyaah laaye Himachal se dulhaniya.
Aai Shiv Ji ki baratiya Himachal Nagariya.

Wednesday, August 29, 2018

Hey Shiv Shankar Natrajan.

Hey Shiv Shankar Natrajan
Main to janam-janam ka das tera
Nis din karta main naam japan tera
Shiv Shiv Shiv Shiv gunjat mann mora

Tum hi mere prabhu tum hi kripalu
Karu samarpan deen dayalu
Hey Shiv Shankar Natrajan.

Tori jata se behti Pavitrata
Tum ho teen lok ke daata
Damroo bajaya tamas bhagaya
Jad chetan ko tumne jagaya
Hey Shiv Shankar Natrajan.

Alakh niranjan Shiv more swami
Tumhi ho mere antaryami
Bhool jo koi hui hai mujhse
Kshama mein mangu har pal tujhse.
Hey Shiv Shankar Natrajan.

Leela se teri dole yeh dharti
Kare jo teri bhakti, deta tu mukti
Tandav nitrya tera pralay kara de
Bhav Saagar se tu paar laga de.
Hey Shiv Shankar Natrajan.

Chhavi teri hai sabse sundar
Chandrama viraje tere maathe upper
Haar mani ka shobhe gale mein
Chamke jaise taare gagan mein.
Hey Shiv Shankar Natrajan.

Tuesday, August 28, 2018

Shiv hai Shakti, Shiv hai Bhakti, Shiv hai Muktidhaam...

Shiv hai Shakti, Shiv hai Bhakti, Shiv hai Muktidhaam.
Shiv hai Brahma, Shiv hai Vishnu, Shiv hai mera dhaam.

Aisi subah na aaye, aaye na aisi shaam,
Jis din jubaa pe meri, aaye na Shiv ka naam.

Man-Mandir mein vas hai tera, teri chhavi basai,
Pyasi aatma ban ke jogan, teri sharan mein aai.
Tere hi charno mein paya maine yeh vishraam.
Aisi subah na aaye, aaye na aisi shaam.

Teri khoj mein na jaane, kitne yug mere beete,
Ant mein kaam-krodh-mad haare, hey Bhole tum jeete.
Mukt kiya tune Prabhu mujhko, shat-shat hai pranaam.
Aisi subah na aaye, aaye na aisi shaam.

Sarvkala sampann tumhi ho aye mere parmeshwar.
Darshan deke dhanya karo ab aye Trinetra Maheshwar.
Bhav Saagar se tar jayunga leke tera Naam.
Aisi subah na aaye, aaye na aisi Shaam.

Monday, August 27, 2018

Shamboo ka mil gaya hai nazara mujhe. Ab nahi dusare ka sahara mujhe.

Shamboo ka mil gaya hai nazara mujhe.
Ab nahi dusare ka sahara mujhe.

Mujhe Shiv Shamboo se badhkar nahi koi pyara hai.
Ki saare Jagat mein fhela unhi ka ujiyara hai.

Ve marghat waasi bhaang-dhatura khaye.
Jo kuch koi mangata, use wahi de jaye.

Maangate hi maangate hi Haan maangate hi.
Mila hai Sahara mujhe.

Pyar ke bhookhe hai, unke kaam kuch nirale hai.
Naam aughaddani hai, bilkul hi bhole-bhale hai.

Naam agar unka jape, japte hi fhal paye.
Unki kripa se har kaaraj Siddh ho jaye.

Shamboo ka mil gaya hai nazara mujhe.
Ab nahi dusare ka sahara mujhe.

Sunday, August 26, 2018

Sun Le Baat Hamari...

-Gaura-
Bhaang tumhari main ghotat-ghotat haari.
Mujhse na ghoti jaye.
Teri ek din ki hove to ghotu, roz-roz na ghoti jaye.
Sun le baat hamari.

-Shankar-
Suno Ganpati ki mehtari nit ghoto bhang hamari.
Bin bhaang raha na jaye.
Gaura sab kuch chhod du, par bhang ka chhodi jaye.
Sun le baat hamari.

-Gaura-
Jis din se main aai biyaah ke bhagya hamare fhoote.
Ram kare aisa ho jaye sil-batta ab toote.
Teri ek din ki hove to ghotu, roz-roz na ghoti jaye.
Sun le baat hamari.

-Shankar-
Kitne Sadhu chale gaye pe-pekar bhaang tumhari.
Duniya mere dware aaye, tu Himalay pass jaye.
Bhola, Kailash pe nit sabko bhaang pilaye.
Sun le baat hamari.

Saturday, August 25, 2018

Shankar Ji Gaura te bole, khol ke apne naina...

Shankar Ji Gaura te bole, khol ke apne naina.
Jab tak bhaang na deyo ghotkar Dil ko chain mile na.
Bolo Gaura Hai Na.
Hai Na, Hai Na.

Jaldi jao ghot ke lao Gaura bhaang hamari.
Bin bhaang piye Gaura humko pade na chain-karari.
Pade na chain-karari, Oh Ganpati ki mehtaari.
Ghot-ghatkar, chhan-chunkar pyala bhar-bhar dena.
Bolo Gaura Hai Na.
Hai Na, Hai Na.

Shankar se boli Gaura suniyega Tripurari.
Ghotat-Ghotat haar gai ab na ghutati bhaang hamari.
Na ghutati bhaang tumhari Oh Nath Bhole Bhandari.
Ek roj ki hoye to ghontu, mose roj ghute na.
Bolo Bhole Hai Na.
Hai Na, Hai Na.

Friday, August 24, 2018

Bum Bum Bhole Gaate Chalo, Bhole Shankar ka dhyan lagate chalo...

Bum Bum Bhole
Bum Bum Bhole
Bum Bum Bhole gaate chalo.
Bhole Shankar ka dhyan lagate chalo. 

Ang bhabhut ramaye hai Shiv, gal mundan ki mala hai.
Mastak uppar Chanda saaje, sare jag ka ujiyara hai.
Hirday mein Shiv ko basate chalo.
Bhole Shankar ka dhyan lagate chalo.

Jatajut mein gang viraje, jag ka taranhari hai.
Haath mein damroo trishool sohe, teen netra tripurari hai.
Girjapati ki istuti gaate chalo.
Bhole Shankar ka dhyan lagate chalo.

Neelkanth Mahadev Mahaprabhu, Devon par upkaar kiya.
Zehar halahal karke Shiv ne kanth ke beech mein dhaar liya.
Neelkanth ka gun-gaan sunate chalo.
Bhole Shankar ka dhyan lagate chalo.

Bhakt tumhare haath jodke arz kare.
Bhaktan ke hitkaari hey Shiv pal bhar mein bhandaar bhare.
Shiv charno mein sheesh jhukate chalo.
Bhole Shankar ka dhyan lagate chalo.

Wednesday, August 22, 2018

Oh Aughaddani... Tohre sang biyaah rachake mohe khoob hui pareshani...

Parvati Mata boli Shankar Ji se.

Oh Aughaddani...
Tohre sang biyaah rachake mohe khoob hui pareshani.
Oh Aughaddani...

Hum na rahibe tumhaar ghar mein Bhole
Hum na rahibe tumhaar ghar mein Bhole
Jiyara dhadke hamaar Bhole.
Hum na rahibe tumhaar ghar mein Bhole.

Roz-Roz humse tu bhangiya mangwaye.
Roz-Roz humse tu bhangiya piswaye.
Dukhati hai ungali hamaar Bhole.
Hum na rahibe tumhaar ghar mein Bhole.

Bhoot-Preat sang roj chalat hai.
Kaale-Kaale naag tore gale ma liptat hai.
Na sune tu hamaar pukaar Bhole.
Hum na rahibe tumhaar ghar mein Bhole.

Jangal-Pahadi-Gufa mein dera lagaye.
Kailash parvat par aasan bichaye.
Tohre ghar na dwaar Bhole.
Hum na rahibe tumhaar ghar mein Bhole.

Khaaye-Piye ka kacchu na hai thikana.
Handiya mein nahi hai mutthi bhar daana.
Baniya na deve udhaar Bhole.
Hum na rahibe tumhaar ghar mein Bhole.

Tuesday, August 21, 2018

Har Bum Bum Bhole ka nara kanwariya jab bolega...

Nange paav chale kanwariya, na pass ghoda na haathi.
Jaikaare se toot jayegi, Shiv Shankar ki samadhi.

Har Bum Bum Bhole ka nara kanwariya jab bolega,
Karun pukaar karenge sevak, Shiv ka aasan dolega.

-Bhajan-

O Bhole Shankar ke dewaane, Bhole ke darbaar chale.
Baba ke darshan karne ko, leke dil mein pyar chale.
Jab tarazu lekar Bhola, prem bhakt ka tolega.
Har Bum Bum Bhole ka nara kanwariya jab bolega...

Girijapati karenge raksha, Dil mein yeh vishwas hai.
Bhakton ko lagta hai hardam, Bholenath unke pass hai.
Bhakton par gar sankat aaye to, Bhola nayan teesara kholega.
Har Bum Bum Bhole ka nara kanwariya jab bolega...

Nange paav chalte hai sab, na ghoda na haathi hai.
Hans kar jhelenge sankat, Baba inka saathi hai.
Kanwariya sab jhoole-naache, maza hai bhang ke gole ka.
Har Bum Bum Bhole ka nara kanwariya jab bolega.

Monday, August 20, 2018

Leke Gaura Ji Ko Saath Bhole Bhale Bholanath Kashi Nagri Se Aaya Hai Shiv Shankar

Leke Gaura Ji Ko Saath
Bhole Bhale Bholanath
Kashi Nagri Se Aaya Hai Shiv Shankar

Nandi Pe Sawar Hoke, Damru Bajate
Chale Aa Rahe Hai Bhole, Hari Gun Gaate
Pahire Narmundon Ki Maal, Upper se Odhe Mrigchhal
Kashi Nagri Se Aaya Hai Shiv Shankar

Haath Mein Trishool Liye, Bhasmi Ramaye
Jholi Gale Mein Daale, Gokul Mein Aaye
Pahuche Nand Ji Ke Dwar, Shiv Ji Bole Barambar
Kashi Nagri Se Aaya Hai Shiv Shankar

Kahan Hai Yasodha Tera Krishna Kanhaiya
Daras Karado Rani, Lau Main Balaiyan
Sun Kar Narayan Avtaar, Aaya Hoon Main Tere Dwar
Kashi Nagri Se Aaya Hai Shiv Shankar

Dekhkar Yasodha Boli, Jao-Jao-Jao
Dwar Par Hamare Nahi Damru Bajao
Darr Jayega Mera Lal, Dekhkar Sarpon Ki Maal
Kashi Nagri Se Aaya Hai Shiv Shankar

Hans Ke Fhir Shiv Jogi Bola, Suno Maharani
Daras Kara Do Maiya, Hogi Meharbani
Daras Kara Do Ek Baar, Dekhu Kaisa Hai Sukumaar
Kashi Nagri Se Aaya Hai Shiv Shankar

Soya Hai Kanhaiya Mera, Main Na Jagau
Teri Baaton Mein Jogi, Hargiz Na Aau
Mera Nanha Sa Gopal, Tu Koi Dega Jaadu Daal
Kashi Nagri Se Aaya Hai Shiv Shankar

Itna Sunkar Bhola, Hansa Khilkhila Kar Damru Bajate Bola,
Dekho Jakar Apna Lal, Aane Ko Hai Woh Behaal,
Kashi Nagri Se Aaya Hai Shiv Shankar

Itne Main Aaye Mohan, Murli Bajate
Brahma, Indradi Jinka Paar Na Paate
Yahi Gokul Mein Gopal, Ghar-Ghar Naach Raha Gopal
Kashi Nagri Se Aaya Hai Shiv Shankar

Maa Yasodha Dar Pe Aai
Kanha Ko Goad Main Lai
Daras Pakar Baal Roop Bholanath Harsaye
Chale Sumiran Kinhe Dono Haath Jodh
Kashi Nagri Se Aaya Hai Shiv Shankar

Sunday, August 19, 2018

Meri pyari si Gaura banegi dulhaliyan byaah ne aayenge Bhole Baba.

Meri pyari si Gaura banegi dulhaliyan, byaah ne aayenge Bhole Baba.
Brahma-Vishnu bajayenge baja.

Solah singhar meri Gaura karegi,
Teeka chhadega aur Haldi lagegi,
Gaura ke nathuni mein jhumegi nathuniya.
Sajke aayenge Bhole Baba.
Brahma-Vishnu bajayenge baja.

Gaura ke haaton mein Mehandi lagegi,
Maang bharegi aur Bindiya lagegi,
Gaura ke haaton mein bandhega Kangana.
Sajke aayenge Bhole Baba.
Brahma-Vishnu bajayenge baja.

Ghum-Ghumaron Gaura pehnegi Lehanga,
Heera-Panna ke Gaura pehnegi Gehna,
Gaura ke pairon mein bajegi Payaliyan aur
Odhegi Lal Chunariya.
Sajke aayenge Bhole Baba.
Brahma-Vishnu bajayenge baja.

Jab Gaura-Bhole sang legi Fhere,
Teno lokon mein chhayegi khushiyaan,
Bajenge Dhol-Nagade aur Phoolon ki hogi Varsha.
Brahma-Vishnu bajayenge baja.

Phoolon ki Doli mein baithegi Gaura,
Bhole ke sang chali jayegi, jaake Kailash pe bas jayegi.
Bhole ke sang Gaura sukh se rahegi.
Gaura ke mann mein base hain Mahadeva,
Jinko puje hai saara zamana,
Brahma-Vishnu bajayenge baja.
Meri pyari si Gaura banegi dulhaliyan,
Byaah ne aayenge Bhole Baba.

Saturday, August 18, 2018

Jo Bhole mein mann ko lagata rahega...

Jo Bhole mein mann ko lagata rahega,
To mann tera yeh jagmagata rahega.

Hirday mein uski ke basenge Shamboo
Hirday se jo unko manata rahega.

Bajega jo tu Bhole Shankar ki mala,
To tu apna jeevan sukhmay banata rahega.

Kar denge jo tujhpe kripa Tripurari.
To bhavsagar se tu paar  ho jayega.

Baja denge damroo jab Bhole Shankar,
To swami ka sevak se hamesha nata rahega.

Sada apna ashirwad woh denge tujhko,
Jo Shivaling pe tu jal chhadata rahega.

Friday, August 17, 2018

Sharan mein Shiv ki aaye hue hai, Karo Nath raksha sataye hue hai.

Sharan mein Shiv ki aaye hue hai,
Karo Nath raksha sataye hue hai.

Bana kaisa sundar woh kailash parvat,
Jahan aap dhuni ramaye hue hai.
Gale padi hai jo naagon ki mala,
Unhi ka janeuu banaye hue hai.
Karo Nath raksha sataye hue hai.

Pilati Sati jo tumhein bhaang ghis-ghis,
Udhar aas tori lagaye hue hai.
Khade hukum mein bhoot-preitaadi lakhon,
Bayanak shakl jo banaye hue hai.
Karo Nath raksha sataye hue hai.

Tumhi teeno lokon ke sanhaar karta,
Tumhe dev sar sab navaye hue hai.
Humein bhi karo apni bhakti mein shaamil,
Tumhari sharan hum aaye hue hai.
Karo Nath raksha sataye hue hai.

Khabar le lo ab dukhiyon ki Prabhu Ji.
Khade dar pe sar ko jhukaye hue hai.
Sharan mein Shiv ki aaye hue hai.
Karo Nath raksha sataye hue hai.

Thursday, August 16, 2018

Bhakt ek Shiv ka chala Shiv ko manane ke liye...

Bhakt ek Shiv ka chala Shiv ko manane ke liye.
Shiv ko rijhane ke liye, apna banane ke liye.
Bhakt ek Shiv ka chala Shiv ko manane ke liye.

Ek lota jal mein kuch boondein dudh ki daal li,
Aur le liye Bel Patra, Fhal-Phool bhi.
Chal diya mandir ke andar Shiv ko chadhane ke liye.
Bhakt ek Shiv ka chala Shiv ko manane ke liye.

Haath ko upper kiya ghanta bajane ke liye,
Dekhkar sone ka ghanta paap mann mein aa gaya,
Ho aaya taiyaar fir woh ghanta churane ke liye.
Bhakt ek Shiv ka chala Shiv ko manane ke liye.

Jab koi yukti na aai haath na pahucha wahan,
Chad gaya khud Shiv pe voh, karni kamane ke liye,
Dekhkar yeh drish Shankar, khush hue hai bhakt par,
Aa gaye swayam fir woh wahan, darshan dikhane ke liye.
Bhakt ek Shiv ka chala Shiv ko manane ke liye.

Bhakt to mujhpar chhadate phool-fhal aur pattiyaan,
Tune to khud ko chhadaya mujhko rijhane ke liye,
De diya sone ka ghanta, Prabhu ne fir us bhakt ko,
Bhakt charno mein gira Shiv-Charan paane ke liye.
Bhakt ek Shiv ka chala Shiv ko manane ke liye.

Wednesday, August 15, 2018

O Bhole bhole-bhale se tera roop hai ajab nirala se...

O Bhole, bhole-bhale se, tera roop hai ajab nirala se. (Tek).

Adhra Chandra mastak pe sohe, bhasm rami kul angaa se.
Dam-Dam-Dam Damroo baaje, bahe jatan mein Ganga se.

Karo Nandi ki asawari, gal mundan ki mala se.
Kar trishool viraje gale pada bujangi kaala se.

Trishool pe Kashi basaya saare jag se nayara se.
Dushton ka tu nashak hai, bhakton ka rakhwala se.

Jo koi dware aakar maange dil se, 
sab kuch milta hai Shiv Shankar kailashi se.

O Bhole, bhole-bhale se, tera roop hai ajab nirala se.

Tuesday, August 14, 2018

Irsha Girish purari hamari sudhi le lena...

Irsha Girish purari hamari sudhi le lena. (Tek).

Shankar mundmaal tripurari,
Girjapati kailash bihari.
Bhaal chandra dhaari hamari sudhi le lena.
Irsha Girish purari hamari sudhi le lena.

Bagambhar tanu bhashm ramaye,
Sheesh ganj ahigarn liptaye.
Neelkanth chhavi nyari, hamari sudhi le lena.
Irsha Girish purari hamari sudhi le lena.

Kar trishool dhaari damroo lenhe,
Nandi par aswari kenhe.
Bhaktan ke hitkaari, hamari sudhi le lena.
Irsha Girish purari hamari sudhi le lena.

Bhaang aafheem-dhatura khaye,
Ardha Netra Shiv dhyan lagaye.
Sharan hum hai tumhari, hamari sudhi le lena.
Irsha Girish purari hamari sudhi le lena.

Monday, August 13, 2018

Sawan Somvar Special Shiv Ji Bhajan - Vol 7 - 65 minutes


Sawan Somvar Shiv Shankar Bholenath ke Special Bhajan - Vol 2 - 55 minutes


Aarti karo Harihar ki karo Natwar ki. Bhole Shankar ki. Aarti karo Shankar ki.

Aarti karo Harihar ki karo Natwar ki
Bhole Shankar ki.
Aarti karo Shankar ki.

Sar par sheesh ka mukut sanwaare
Taaron ki payal jhankaare
Dharti Ambar dole, tandav leela se Natwar ki.
Aarti karo Shankar ki.

Fanee ka haar pehanne wale Shamboo hai jag ke rakhwale
Sakal Vishwa naache ungali pe Vishdhar ki.
Aarti karo Shankar ki.

Mahadev Jai-Jai Shiv Shankar Jai Gangadhar Jai Damroodhar
Hey Devon ke Dev mitao tum vipadha ghar-ghar ki.
Aarti karo Shankar ki.

Sunday, August 12, 2018

Mandir-Mandir, Dware-Dware mein main khoju Shankar mera kahan hai...

Mandir-Mandir, Dware-Dware mein main khoju, Shankar mera kahan hai,
Koi bataye mujhko mera Shankar kahan hai.

Lehar-Lehar lehraati Ganga tu unko pehchane,
Tu hi bata kabhi aaye Shiv Ji yahan nahane...
Lehar-Lehar se teri puchu Shankar mera kahan hai...

Koi bhakt bataye mujhko, unhe kahi dekha hai,
Ruuth gaye mujhse Prabhu, kaisa qismat ka lekha hai.
Darshan bin Pal-Pal main royu Shankar mera kahan hai.

Kahan mile ab mujhko mera Shankar Bhola Bhandari.
Kar trishool dhamroo dhar sohe gale mund ki maala.
Ang Vibhuti ramane wala, Shankar mera kahan hai.

Mandir-Mandir, Dware-Dware mein main khoju Shankar mera kahan hai...
Koi bataye mujhko mera Shankar kahan hai...

Saturday, August 11, 2018

Tumhara naam jap karke tumhe apna bana lenge...

Tumhara naam jap karke tumhe apna bana lenge,
Tere pad pankaj mein Shankar sir apna jhuka lenge.

Gale mund maala hai kamar mrig-chhala hai shobhit.
Jata mein Ganga lehraati usi mein hum lahaa lenge.

Badan mein naag hai lipte aur kar damroo hai shobhit.
Usi damroo ke swar mein Nath hum apna dukh bhula devenge.

Hai tann pe bhashm aur mastak pe sundar chand avlokit.
Usi shashi jyoti mein Shamboo Shankar nij tap hum mita lenge.

Friday, August 10, 2018

Shankar teri jatao mein behti hai nirmal dhara. Hai jogi agam apara.

Shankar teri jatao mein behti hai nirmal dhara.
Hai jogi agam apara.

Hai tan bhashm ramaye, 
Mastak par chandra suhaye.
Dhavni uthe shabd Omkara.
Hai jogi agam apara.

Tum Neelkanth kehlaaye, 
Tere ang-bhujang suhaye.
Kar mein trishool ujiyara.
Hai jogi agam apara.

Baghambar aasan hoye, 
Gauri vaamang suhaye.
Damroo dhavni hot apara.
Hai jogi agam apara.

Sur, Mahisur, Nar, Muni Sab tere dhyan lagaye.
Tujhko hi har sankat mein dhiyaye.
Vishambhar agam apara.
Hai jogi agam apara.

Shankar teri jatao mein behti hai nirmal dhara.
Hai jogi agam apara.

Thursday, August 9, 2018

Bhang chadi... Bhang chadi... Saawan ki laagi jhadi...

Bhang chadi... Bhang chadi...
Saawan ki laagi jhadi...
Jhoomu main, nachu main, Masti badi...
Dekhe yeh dunia khadi...
Bhang chadi, Bhang chadi...

Halki-Halki hawan chale aur yeh bhang ka rang chade,
Kam hota nahi hai suroor iska,
Upper se bundiyan pade,
Shiv Bhole ke dwar pe aaya hun main,
Aai hai yeh subh ghadi.
Bhang chadi, Bhang chadi...

Bhole ki kasam... 
Peete hi bhaang aisa lage ki naache aasman aur jhoome zami...
Jhoomu main, nachu main, Masti badi
Dekhe ke yeh dunia khadi...
Bhang chadi, Bhang chadi...

Ganga ki nirmal dhaara mein jo dubki lagaye yahan,
Papon se mukti milti use jo bhi nahaye yahan,
Katati hai musibat yahan chahe ho jitni badi...
Bhang chadi, Bhang chadi...
Sawan ki laagi jhadi...
Jhoomu main, nachu main, Masti badi.

Wednesday, August 8, 2018

Hum par bhi ek nazar ho Shankar mashan wale...

Hum par bhi ek nazar ho 
Shankar mashan wale.
Sab Devon se alag ho aur 
dhang hai nirale.

Kya Dev aur Daanav, 
kya Yaksh aur Kinnar,
Pashu-Pakshi aur Nar kya, 
kya Bhoot-Pret aur Vanchar.
Teri daya pe nirbhar rehte saare jahaan wale,
Hum par bhi ek nazar ho 
Shankar mashan wale.

Hey Ardha Chandradhari, 
Hey Shamboo, Hey Pinaki,
Damroo tumhare kar mein varnan nahi chhata ki.
Lipte gale mein rehte har dum hai naag kaale.
Hum par bhi ek nazar ho 
Shankar mashan wale.

Tum narm bhi bahut hi, 
kehlate Bhole-bhale,
Vish pee kar zamane ko Amrit ho dene wale.
Lekin tumhara gussa talta nahi kabhi taale.
Hum par bhi ek nazar ho 
Shankar mashan wale.

Tum sa na Daata koi, 
tum ho mahaan Daata,
Aaya hua sawali dar se na khali jaata.
Dil mein dard jo rakh le, 
pal mein tumhein woh paa le.
Hum par bhi ek nazar ho 
Shankar mashan wale.

Tuesday, August 7, 2018

Mera Bhole Baba ko anari mat samjho... Anari mat samjho, Khiladi mat samjho...

Mere Bhole Baba ko anari mat samjho...
Anari mat samjho, Khiladi mat samjho...

Mere Bhole Baba ke haath mein pyala,
Pyala hai to kya hua sharabi mat samjho.
Mere Bhole Baba ko anari mat samjho...

Mere Bhole Baba ke haath mein khappad,
Khappad hai to kya hua bikhari mat samjho.
Mere Bhole Baba ko anari mat samjho...

Mere Bhole Baba ke haath mein trishool,
Trishool hai to kya hua sikhari mat samjho.
Mere Bhole Baba ko anari mat samjho...

Mere Bhole Baba ke saath mein Gaura,
Gaura hai to kya hua Sanyashi mat samjho.
Mere Bhole Baba ko anari mat samjho...

Mere Bhole Baba to teen lok ke swami hai,
Swami hai to kya hua abhimaani mat samjho.
Mere Bhole Baba ko anari mat samjho...

Mere Bhole Baba ke gale mein sarpon ki maala,
Sarp hain to kya hua zehreela mat samjho.
Mere Bhole Baba ko anari mat samjho...

Mere Bhole Baba ke haath mein damroo,
Damroo hai to kya hua madari mat samjho.
Mere Bhole Baba ko anari mat samjho...
Anari mat samjho, Khiladi mat samjho...

Monday, August 6, 2018

Pehli Kaanwad Shiv Mandir mein main hi chadaungi....

-Male-
Ganga Ji mein laga ke gota...
Poora peeke bhaang ka lota...
Bum Bum kehta jayunga...
Pehli Kaanwad Shiv Mandir mein main hi chadaunga...

-Female-
Main to Shiv Shankar ki cheli,
Kaanwad leke chalu akeli,
Bholanath ko manaungi...
Pehli Kaanwad Shiv Mandir mein main hi chadaungi...

Neelkanth pe daud ke jayungi,
Dudh se Shivaling ko nehlayungi...
Chahe pade paav mein chhale,
Garje-Barse badal kaale,
Daya kare Shiv Damroo wale...
Bilkul bhi na ghabraungi...
Pehli Kaanwad Shiv Mandir mein main hi chadaungi...

Saawan ki bela hai aai,
Shiv Mandir mein raunak chhayi,
Main bhi nachungi... gaungi...
Pehli Kaanwad Shiv Mandir mein main hi chadaungi...

Sunday, August 5, 2018

Balam Ji karwa de Ganga isnaan... Chamacham nachungi...

Balam Ji karwa de Ganga isnaan
Chamacham nachungi... - 2

Balam Ji yeh sawaan ka mahina
Chalenge hum-tum Haridwar
Jhama-jham ho rahi bhaari barsaat...
Chamacham nachungi...

Balam Ji dhul jayenge sab paap
Hai Ganga mukti ki dhaar
Shiv ki jatao se behta amrit-ras aapaar...
Chamacham nachungi..

Balam Ji fhasal bhai hai aapaar
Kanjusi mein mat kariyo inkaar
Ki Kaanwad layenge hum is baar...
Chamacham nachungi...

Balam Ji Haridwar ki mahina aapaar...
Ganga Maiya karti sabka beda paar...
Karenge Shiv-Parvati hamara uddhar...
Chamacham nachungi...

Balam Ji karwa do Ganga isnaan
Chamacham nachungi...

Saturday, August 4, 2018

Shiv Shankar chale Kailash bundiya padne lagi...

Shiv Shankar chale Kailash bundiya padne lagi (Tek).

Gaura ne boye di hari-hari mehandi,
Bhole Baba ne boye di bhaang, bundiya padne lagi.

Gaura ki ugg aai hari-hari mehandi,
Bhole Baba ki ugg aai bhaang, bundiya padne lagi.

Gaura ki pak gai hari-hari mehandi,
Bhole Baba ki ugg aai bhaang, bundiya padne lagi.

Gaura ne todhi hari-hari mehandi,
Bhole Baba ne thodi bhaang, bundiya padne lagi.

Gaura ne peesi hari-hari mehandi,
Bhole Baba ki ghut gai bhaang, bundiya padne lagi.

Gaura ki rach gai hari-hari mehandi,
Shiv Shankar ki chhad gai bhaang, bundiya padne lagi.

Shiv Shankar chale Kailash bundiya padne lagi.

Friday, August 3, 2018

Bhole Ji ghar aa jao... Shamboo Ji ghar aa jao....

Bhole Ji ghar aa jao...
Shamboo Ji ghar aa jao...
Teri main Bhole Ji dekh rahi hun baat,
Aake daras dikha jao.
Bhole Ji ghar aa jao...
Shamboo Ji ghar aa jao...

Aavega jab tu mere Bhole,
Tere raaste phool bichau,
Dhoop-Deep se karu swagat,
Dware vandan-vaar sajau,
Bhole Ji ghar aa jao...
Shamboo Ji ghar aa jao...
Teri main Bhole Ji dekh rahi hun baat,
Aake daras dikha jao...
Bhole Ji ghar aa jao...
Shamboo Ji ghar aa jao...

Aasan ko main dun vichala,
Charnan ko jal se dhoyu...
Chappan bhog banake...
Tera sewa karke khush ho jau...
Bhole Ji ghar aa jao...
Shamboo Ji ghar aa jao...
Teri main Bhole Ji dekh rahi hun baat,
Aake daras dikha jao...
Bhole Ji ghar aa jao...
Shamboo Ji ghar aa jao...

Tum baitho main fankha jhaalu,
Jab maangoge bhaang pilau,
Sarpon ko dun dudh ki thali,
Tera Nandi khoob charau...
Bhole Ji ghar aa jao...
Shamboo Ji ghar aa jao...
Teri main Bhole Ji dekh rahi hun baat,
Aake daras dikha jao...
Bhole Ji ghar aa jao...
Shamboo Ji ghar aa jao...

Thursday, August 2, 2018

DJ pe naache kawadiyan...

DJ pe naache kawadiyan...
Darsh dikha ja Bhole...
Amrit barsa ja Bhole...
Ek baar jhalak dikha ja Bhole...
Shiv bhakton ki bigadi bana ja Bhole...

Nandi pe chhadke aaja, Gaura ko sang mein leke,
Ganga Ji ke tatt pe aaja, Darshan ka mauka deke,
Bum-Bum ka Jaikara lagwa ja Bhole.
Shiv bhakton ki bigadi bana ja Bhole.

Tere intezaar ki ghadiyaan milan ki aari,
Banghiyan pilayenge tujhko ohh Gangadhaari,
Bhakton ko bhang tu bhi pila ja Bhole.
Shiv bhakton ki bigadi bana ja Bhole.

Saawan ki badri barse, darshan ko naina tarse,
Kaisa hai Bhola dekhe, sab milke aaye hai gharse.
Bhakton ki pyas bhuja ja Bhole.
Shiv bhakton ki bigadi bana ja Bhole.

Humko bhula na dena tu,
Rudraroop na le lena tu,
Binti karte hai dair se na aana tu,
Apne deewano pe Mehar fhiraja tu.
Shiv bhakton ki bigadi bana ja tu.

DJ pe naache kawadiyan...
Daras dikha ja Bhole.
Amrit barsa ja Bhole.
Ek baar jhalak dikha ja Bhole.
Shiv bhakton ki bigadi bana ja Bhole.

Wednesday, August 1, 2018

Kaale-Kaale Sawan mein Baadal ghula... Bhole tera bhakt Kaanwad leke chala...

Kaale-Kaale Sawan mein Baadal ghula,
Bhole tera bhakt Kaanwad leke chala,
Aankhon mein basa ke darshan ki abhilasha, Kaanwad leke chala...
Kaale-Kaale Sawan mein Baadal ghula...

Oh Trinetri Neelkanth pe baithe woh daale samadhi
Mujhe na khabar thi band nainon se dekhe saari duniya ki leela... 
Pal-Pal mujhko laage bhala...
Kaale-Kaale Sawan mein Baadal ghula...

Tumse hai binti itni oh Bhole Shiv Ji,
Paate rahe darshan tera...
Laate rahe Kaanwad, tumhari sada,
Beete aise hi jeevan mera...
Pyar tera mere jeevan mein itna ghula...
Kaale-Kaale Sawan mein Baadal ghula...

Tuesday, July 31, 2018

Mere naag gale mein latke se... Tu naag dekh ke darr jagi re Gaura....

Mere naag gale mein latke se...
latke se...
latke se...
Tu naag dekh ke darr jagi re Gaura.

Main bhaang ghot-ghot ke peeva karu,
Tu bhaang ghot ke thak jaagi re Gaura.
Mere naag gale mein latke se....

Tu Raja ki chhori se...
Tu meri deewani hori se...
Malmal si teri jawani se
Main Baba dhundhe aadha su...
Tu bhagya dekh ke darr jagi re Gaura.
Mere naag gale mein latke se...

Tu byaah karwana mere se...
Main samjhau su tere se...
Tu chandan male chehare pe re Gaura...
Main raakh laga ke raha karu...
Tu raakh dekh ke darr jagi re Gaura...
Mere naag gale mein latke se...

Bhaang meri tu ghotegi...
Na manne peeve te rokegi...
Na baat-baat pe tokegi re Gaura...
Meri baat maan li Gaura ne re Gaura...
Mere naag gale mein latke se...
latke se...
latke se...
Tu naag dekh ke darr jagi re Gaura...

Monday, July 30, 2018

Are hatt ja re Tau paache ne, Jal Bhole pe charawan de.

Are hatt ja...
Are hatt ja...
Are hatt ja re Tau paache ne
Jal Bhole pe charawan de.

Are Haridwar mein manne jaana
Har ki Paudi gota laana
Shiv mandir mein jake ne
Bhole ke darshan paavan de.
Are hatt ja re Tau paache ne
Jal Bhole pe charawan de.

Jal manne Shivaling pe charana.
Jot jalake Bhola manana.
Ja mat roke aage te.
Dar pe sheesh jhukawan de.
Are hatt ja re Tau paache ne
Jal Bhole pe charawan de.

Neelkanth pe jo Shiva mandir.
Bheedh laangadi bahar-andar.
Are hatt ja re Tau paache ne
Jal Bhole pe charawan de.

Mann ka kamal khila de Bhola.
Bigadi baat bana de Bhola.
Uccha Jaikara lagawan de.
Gunn Bhole ke gaawan de.
Are hatt ja re Tau paache ne
Jal Bhole pe charawan de.

Jai bolo Shankar ki...

Jai bolo Shankar ki.
Kar trishool dhamroo dhar ki.
Jai bolo Shankar ki.

Maathe chand chhata dhaari.
Sobha sur pur se bhi nyari.
Jai Girija Pati Natwar ki.
Jai bolo Shankar ki.
Kar trishool dhamroo dhar ki.

Gauri pati kundal wale.
Ang vibhuti mundmaale.
Sheesh par sobha vishdhar ki.
Jai bolo Shankar ki.
Kar trishool dhamroo dhar ki.

Antaryami ghat-ghat ke.
Jata mein Sri Ganga chhatke.
Aaye sadayein Har-Har ki
Jai bolo Shankar ki.
Kar trishool dhamroo dhar ki.

Dil mein daras ki asha mere.
Bhakt hai sab sharan tere.
Ho daya drishti prabhuvar ki.
Jai bolo Shankar ki.
Kar trishool dhamroo dhar ki.

Shiv Shankar bhole-bhale bhakton ke rakhwale... Tumko lakhon pranaam, tumko mera pranaam...

Shiv Shankar bhole-bhale bhakton ke rakhwale,
Tumko lakhon pranaam, tumko mera pranaam.
Tumne yeh sansar banaya, sabhi tumhari maya-chhaya,
Sarpo(n) ki mala wale, kailash parvat wale. 
Tumko lakhon pranaam, tumko mera pranaam.

Tum jal-thal mein, tum ambar mein, tum ho nagar-nagar, ghat-ghat mein,
Tum hi lehar-lehar, svar-svar mein, kaha nahi tum jag bhar mein,
Damroo ko bajane wale, daanavo ko mitane wale.
Tumko lakhon pranaam, tumko mera pranaam.

Har Har Mahadev ka naara, Nar-Naari, ghar-ghar ka pyara,
Deep tumhara, tel tumhara, duniya mein sab khel tumhara,
Hey khel khilaane wale, tribhuvan ke rakhwale.
Tumko lakhon pranaam, tumko mera pranaam.

Shiv Shankar bhole-bhale bhakton ke rakhwale
Tumko lakhon pranaam, tumko mera pranaam.