Shiva Shankar Chale Kailash Bundhiyaa
Padane Lagi
Gaura Ne Boi Dai Hari - Hari Mehandi
Bhole Baba Ne Boi Dai Bhaang, Bundhiyaa
Padane Lagi
Gaura Ki Ugg Aai Hari - Hari Mehandi
Bhole Shankar Ki Ugg Aai Bhaang Bundhiyaa
Padane Lagi
Gaura Ki Pak Gai Hari – Hari Mehandi
Bhole Baba Ki Pak Gai Bhaang Bundhiyaa
Padane Lagi
Gaura Ne Toodi Hari – Hari Mehandi
Bhole Baba Ne Todi Bhaang, Bundhiyaa
Padane Lagi
Gaura Ne Peesi Hari-Hari Mehandi
Shiva Shankar Ki Ghut Gai Bhaang Bundhiyaa
Padane Lagi
Gaura Ki Rach Gai Hari – Hari Mehandi
Shiva Shankar Ki Chhad Gai Bhaang Bundhiyaa
Padane Lagi.
No comments:
Post a Comment