Monday, July 9, 2012

Shiv Shankar Ki Mahima Dekho Sare Jag Se Nyari


Shiv Shankar Ki Mahima Dekho Sare Jag Se Nyari
Kailash Mein Jaake Baithe Nandi Ki Sawari

Bhasmi Ang Lagaye Jaape Sarpon Ki Mala Bhaye
Gaura Dekh-Dekh Dehle Ve Baith Bagal Na Paye

Bhang Dhature Ki Pee Jaye Fir Bhi Pyasa Kehlaye
Kailash Pe Vaas Kare Aur Dhuni Alakh Jagaye

Gaura Ke Yeh Saath Rahe Kailash Ke Vaasi Kehlaye
Mathura Mein Yeh Vaas Kare Rangeshwar Sada Kehlaye

Baaye Devi Parvati aur Daaye Putra Ganesha
Samne Jinke Dekho Nandi Garn Hai Saish

Jatao Se Nikale Ganga Ki Dhara
Jaake Chamke Maathe Chandrama Pyara

Ek Haath Mein Trishool Chalte Ajab Nirale
Peekar Yeh Bhang Dekh Lo Lagate Bhole-Bhale

Teesara Netra Ajab Darshaye Ise Dekh Kaal Dehlaaye
Roop Inke Pada Charan Mein Janam Safal Jo Jaye

No comments:

Post a Comment