Wednesday, July 11, 2012

Darshan Karne Ko Aaye Hain Tumhare Bhaktjan


Shiva Shankar Ke Darbar Saji Sundar Bahar
Darshan Karne Ko Aaye Hain Tumhare Bhaktjan

Gal Rundmaal Sohe, Mastak Sohe Chanda
Haath Mein Trishul Damroo, Naach Rahe Nanda
Jata Jut Ki Majhdhaar, Bahe Gangaji Ki Dhaar
Darshan Karne Ko Aaye Hain Tumhare Bhaktjan

Saili Shingi Bhasmi Ramaye, Mudra Sohe Kone Mein
Bijiya Aak Dhatura Peeve, Mast Rahe Dhyan Mein
Sang Mein Parvati Hai Naar, Shankar Bailan Ke Avsaar
Darshan Karne Ko Aaye Hain Tumhare Bhaktjan

Neelkanth Mahadev, Devon Ka Uddhar Kiya
Pee Ke Halahal Zehar, Kanth Beech Dhaar Liya
Dev Kar Rahe Jai Jaikaar, Shankar Nirakar Aadhar
Darshan Karne Ko Aaye Hain Tumhare Bhaktjan

Shivratri Manaye Dyave, Shankar Sarkar Ki
Bhakt Vipra Yun Katha Gaave, Sharno Sajjan Haar Ki
Bhootnath Tere Dwar Bhakt Kar Rahe Jai Jaikaar
Darshan Karne Ko Aaye Hain Tumhare Bhaktjan

No comments:

Post a Comment