Sunday, February 12, 2012

Ganga ki har mauj mein maine Shiv ki moorat dekhi hai


Ganga ki har mauj mein maine Shiv ki moorat dekhi hai
rom - rom yeh hua hai pulkit aisi surat dekhi hai.
Shiv ki moorat dekhi hai - 2

Kabhi dikhe ve chadhe bail par 
kabhi samadhi roop dikhe
kabhi woh girja sang viraje
kabhi naag sang khel rahe
unke charan saroj se lipati saari kudrat dekhi hai
rom - rom yeh hua hai pulkit aisi surat dekhi hai.
Shiv ki moorat dekhi hai - 3

Jyotirlinga ke roop mein unke hue hai pawan darshan bhi
hue hai pawan darshan bhi
lanka pati lankesh ko dekha karte unka chintan bhi
karte unka chintan bhi
teen lok ke uske khazane - 2
uski daulat dekhi hai
rom - rom yeh hua hai pulkit aisi surat dekhi hai.
Shiv ki moorat dekhi hai - 3

Ganga ki har mauj mein maine Shiv ki moorat dekhi hai
rom - rom yeh hua hai pulkit aisi surat dekhi hai.
Shiv ki moorat dekhi hai - 2

Om Namah Shivaya
Om Namah Shivaya
Om Namah Shivaya
Om Namah Shivaya
Om Namah Shivaya
Om Namah Shivaya
Om Namah Shivaya

No comments:

Post a Comment