Tuesday, February 7, 2012

Anathon ke nath Darshan do nath

Anathon ke nath
Darshan do nath
Anathon ke nath
Darshan do nath
Sir par rakh do prabhu mere haath
Kamna hai charan choone ki, iccha poori karo Bholenath
Anathon ke nath
Darshan do nath
Anathon ke nath
Darshan do nath

Main nirbal bahut hoon Maheshwar
Kaise dware tumhare mein aayun
Main nirbal bahut hoon Maheshwar
Kaise dware tumhare mein aayun
Meri maili hai tan ki chadariya
Isse pawan bana nahi payun
Fir bhi darshan ki hai abhilasha mujhe
Fir bhi darshan ki hai abhilasha mujhe
Pavan kar do mujhe Vishwanath
Anathon ke nath
Darshan do nath
Anathon ke nath
Darshan do nath

Yatna yahi hai parmeshwar
Mujhpar bhi daya thodi kar do
Yatna yahi hai parmeshwar
Mujhpar bhi daya thodi kar do
Mera mann hai gheera papon se
Prabhu papon se mukti de do
Tere poojan ki hai abhilasha prabhu
Tere poojan ki hai abhilasha prabhu
Mere jeevan mein kar do prabhat
Anathon ke nath
Darshan do nath
Anathon ke nath
Darshan do nath

Bada pawan tera devalaya
Shiva bhakton hai yeh Shivalaya
Bada pawan tera devalaya
Shiva bhakton hai yeh Shivalaya

Issi dar pe mein naam japunga
Kyon jayun mein door Himalaya
Kailash yahi Kedar yahi
Kailash yahi Kedar yahi
Rameshwar yahi Bejnath
Anathon ke nath
Darshan do nath
Anathon ke nath
Darshan do nath
Sir par rakh do prabhu mere haath
Kamna hai charan choone ki, iccha poori karo Bholenath
Anathon ke nath
Darshan do nath
Anathon ke nath
Darshan do nath

No comments:

Post a Comment